1. Mat dikha aye Raquib mujhe aina, is mein teri duniyadari nibhate nibhate, meri tasveer hi dhundla gayi hai…..
Khush hoon main aabe noor mein apna aks dekh kar, kamaskam isme meri tasveer jhilmilati toh hai
*—–*
2. Aye Raquib- Mujhe mere aansoo lautaa de, mere hisse ke gham bhi lautaa de
Tere zamaane ki khushiyan toh meri na ho sakin, lekin mere gham o aansoo toh mere apne tthe!
3. Log kehte hain ke jab “WOH” deta hai toh, be-intiha deta hai….
Log sahi hi kehtein hain, tu gham deta hai, toh be-intiha hi deta hai….
*—–*
4. Ek umr ka safar taye kar, main pahunchi hoon yayan…
Tu kehta ahi laut jaa tera waqt nahi aaya abhi…………
Kya koi batayega ke apne hi ghar, jaane ka koi waqt hota hai
Kya koi batayega ki pursukoon lambi neend ka, koi waqt hota hai?
*—–*
By your’s truly
Coined on 30/11/2014